Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasin jadu nigar chehre magar wo chehra

Mohammad Yahya Jameel

hasin jadu nigar chehre magar wo chehra

Mohammad Yahya Jameel

MORE BYMohammad Yahya Jameel

    hasīn jaadū nigār chehre magar vo chehra

    qadam qadam nau-bahār chehre magar vo chehra

    nasīm bād-e-sahar ke jhoñke hazār chehre

    hazār vaj.h-e-qarār chehre magar vo chehra

    hayā se mamlū ye bā-vafā sādgī ke paikar

    ye nek ulfat-shi.ār chehre magar vo chehra

    ye fitna-sāmāñ hasīñ badan ke ubhār tauba

    farāġh-e-dil be-shumār chehre magar vo chehra

    hilāl abrū darāz gesū bahisht-sīmā

    hasīn kitne haiñ yaar chehre magar vo chehra

    ho ḳhaak sarmāya-e-sukūn-e-hayāt jin se

    ka.ī misāl-e-sharār chehre magar vo chehra

    ye dushman-e-jāñ ye saare ġhārat-gar-e-tahammul

    baḌe qayāmat-guzār chehre magar vo chehra

    hasin jadu nigar chehre magar wo chehra

    qadam qadam nau-bahaar chehre magar wo chehra

    nasim baad-e-sahar ke jhonke hazar chehre

    hazar wajh-e-qarar chehre magar wo chehra

    haya se mamlu ye ba-wafa sadgi ke paikar

    ye nek ulfat-shiar chehre magar wo chehra

    ye fitna-saman hasin badan ke ubhaar tauba

    faragh-e-dil be-shumar chehre magar wo chehra

    hilal abru daraaz gesu bahisht-sima

    hasin kitne hain yar chehre magar wo chehra

    ho KHak sarmaya-e-sukun-e-hayat jin se

    kai misal-e-sharar chehre magar wo chehra

    ye dushman-e-jaan ye sare ghaarat-gar-e-tahammul

    baDe qayamat-guzar chehre magar wo chehra

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now