hasin KHwab safar ke dikha gaya hai kaun
Interesting Fact
Dedicated to Nasir Kazmi
hasīn ḳhvāb safar ke dikhā gayā hai kaun
badan meñ aag sī yaaro lagā gayā hai kaun
udaas raat meñ taare ubhar ke Duub ga.e
ye aaj bazm-e-tarab se chalā gayā hai kaun
paḌī huī thī jo banjar zamīn muddat se
hunar ke peḌ ye us meñ ugā gayā hai kaun
na ab ke mausam-e-gul kā bhī inkishāf huā
diye jalā ke ye āñkheñ bujhā gayā hai kaun
dil-o-nazar ke karishme na dekhte 'vijdān'
talab ye ishq kī dil meñ baḌhā gayā hai kaun
hasin KHwab safar ke dikha gaya hai kaun
badan mein aag si yaro laga gaya hai kaun
udas raat mein tare ubhar ke Dub gae
ye aaj bazm-e-tarab se chala gaya hai kaun
paDi hui thi jo banjar zamin muddat se
hunar ke peD ye us mein uga gaya hai kaun
na ab ke mausam-e-gul ka bhi inkishaf hua
diye jala ke ye aankhen bujha gaya hai kaun
dil-o-nazar ke karishme na dekhte 'wijdan'
talab ye ishq ki dil mein baDha gaya hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.