hasin KHwabon ki mahfil sajaana bhul gaya
hasīn ḳhvāboñ kī mahfil sajānā bhuul gayā
mile vo ranj ki maiñ muskurānā bhuul gayā
charāġhāñ maiñ ne kiyā saare shahr meñ lekin
ḳhud apne ghar kā añdherā miTānā bhuul gayā
kahāniyāñ haiñ bahut mere hāfize meñ magar
jo yaad rakhnā thā maiñ vo fasānā bhuul gayā
talāsh-e-zar meñ maiñ phirtā rahā zamāne meñ
jo mere paas thā maiñ vo ḳhazāna bhuul gayā
na jaane kaise dukhoñ se najāt miltī hai
hamāre ghar meñ to ġham aa ke jaanā bhuul gayā
milā jo peḌ parinda utar gayā us par
ba-vaqt-e-shām jab apnā Thikānā bhuul gayā
kisī ke lab pe nahīñ mere dard ke qisse
to kyā 'kamāl' mujhe ye zamāna bhuul gayā
hasin KHwabon ki mahfil sajaana bhul gaya
mile wo ranj ki main muskurana bhul gaya
charaghan main ne kiya sare shahr mein lekin
KHud apne ghar ka andhera miTana bhul gaya
kahaniyan hain bahut mere hafize mein magar
jo yaad rakhna tha main wo fasana bhul gaya
talash-e-zar mein main phirta raha zamane mein
jo mere pas tha main wo KHazana bhul gaya
na jaane kaise dukhon se najat milti hai
hamare ghar mein to gham aa ke jaana bhul gaya
mila jo peD parinda utar gaya us par
ba-waqt-e-sham jab apna Thikana bhul gaya
kisi ke lab pe nahin mere dard ke qisse
to kya 'kamal' mujhe ye zamana bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.