hasin taj ki surat ye be-sada patthar
hasīn taaj kī sūrat ye be-sadā patthar
dikhā rahe haiñ mohabbat kā mo.ajiza patthar
subūt-e-sañg-dilī is se baḌh ke kyā hogā
jo phuul pheñkā mirī samt ban gayā patthar
tumhāre shahr ko maiñ kyuuñ na kāmrūp kahūñ
ki ik nigāh ne mujh ko banā diyā patthar
samajh sake na kabhī maslahat zamāne kī
bas is qusūr pe khaa.e haiñ bārhā patthar
kareñge ab na gila tum se bevafā.ī kā
lo aaj ham ne kaleje pe rakh liyā patthar
sunā rahe haiñ kahānī vafā-parastoñ kī
saje hue haiñ jo maqtal meñ jā-ba-jā patthar
hasin taj ki surat ye be-sada patthar
dikha rahe hain mohabbat ka moajiza patthar
subut-e-sang-dili is se baDh ke kya hoga
jo phul phenka meri samt ban gaya patthar
tumhaare shahr ko main kyun na kaamrup kahun
ki ek nigah ne mujh ko bana diya patthar
samajh sake na kabhi maslahat zamane ki
bas is qusur pe khae hain barha patthar
karenge ab na gila tum se bewafai ka
lo aaj hum ne kaleje pe rakh liya patthar
suna rahe hain kahani wafa-paraston ki
saje hue hain jo maqtal mein ja-ba-ja patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.