hasinon par kisi ka jab dil-e-nashad aata hai
hasīnoñ par kisī kā jab dil-e-nāshād aatā hai
hameñ apnī javānī kā zamāna yaad aatā hai
satāne jab koī ham ko sitam-ījād aatā hai
ḳhudā baḳhshe dil-e-marhūm kyā kyā yaad aatā hai
mubārak tujh ko ai shauq-e-shahādat vaqt aa pahuñchā
ajab andāz se ḳhanjar-ba-kaf jallād aatā hai
qayāmat se sivā dhūmeñ machī haiñ us ke aane kī
sū-e-mahshar kisī kā kushta-e-bedād aatā hai
na ab vo husn baaqī hai na ab vo ishq baaqī hai
tumheñ apnā hameñ apnā zamāna yaad aatā hai
nahīñ thamte kisī kī aañkh se aañsū nahīñ thamte
tirī mahfil meñ jab zikr-e-dil-e-nāshād aatā hai
tamāshā hai tire kūche meñ aane jaane vāloñ kā
koī nāshād jaatā hai koī nāshād aatā hai
vo zanjīr-e-junūñ hai jis meñ kaḌiyāñ haiñ mohabbat kī
mujhe hukm-e-asīrī bhī bilā-mī.ād aatā hai
nasheman meñ qafas meñ farq bas itnā hai ai 'safdar'
idhar sayyād jaatā hai udhar sayyād aatā hai
hasinon par kisi ka jab dil-e-nashad aata hai
hamein apni jawani ka zamana yaad aata hai
satane jab koi hum ko sitam-ijad aata hai
KHuda baKHshe dil-e-marhum kya kya yaad aata hai
mubarak tujh ko ai shauq-e-shahadat waqt aa pahuncha
ajab andaz se KHanjar-ba-kaf jallad aata hai
qayamat se siwa dhumen machi hain us ke aane ki
su-e-mahshar kisi ka kushta-e-bedad aata hai
na ab wo husn baqi hai na ab wo ishq baqi hai
tumhein apna hamein apna zamana yaad aata hai
nahin thamte kisi ki aankh se aansu nahin thamte
teri mahfil mein jab zikr-e-dil-e-nashad aata hai
tamasha hai tere kuche mein aane jaane walon ka
koi nashad jata hai koi nashad aata hai
wo zanjir-e-junun hai jis mein kaDiyan hain mohabbat ki
mujhe hukm-e-asiri bhi bila-miad aata hai
nasheman mein qafas mein farq bas itna hai ai 'safdar'
idhar sayyaad jata hai udhar sayyaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.