hasrat-e-ahd-e-wafa baqi hai
hasrat-e-ahd-e-vafā baaqī hai
terī āñkhoñ meñ hayā baaqī hai
baat meñ kohna rivāyāt kā lutf
haath par rañg-e-hinā baaqī hai
abhī hāsil nahīñ zālim ko davām
abhī duniyā meñ ḳhudā baaqī hai
bujh gayā gir ke ḳhunuk aab meñ chāñd
sat.h-e-dariyā pe sadā baaqī hai
aañkh meñ ism-e-mohammad kī mahak
hoñT par harf-e-duā baaqī hai
gopiyāñ hī kisī gokul meñ nahīñ
bañsiyoñ meñ to sadā baaqī hai
paañv ke nīche saraktī huī ret
sar meñ masnad kī havā baaqī hai
biich meñ raat bachan biite milan
oT meñ jaltā diyā baaqī hai
karbalā iffat insāñ kī baqā
luT ke bhī terī ridā baaqī hai
dekh ye phuul ye mahtāb na jā
rut meñ ras shab meñ nasha baaqī hai
hasrat-e-ahd-e-wafa baqi hai
teri aankhon mein haya baqi hai
baat mein kohna riwayat ka lutf
hath par rang-e-hina baqi hai
abhi hasil nahin zalim ko dawam
abhi duniya mein KHuda baqi hai
bujh gaya gir ke KHunuk aab mein chand
sath-e-dariya pe sada baqi hai
aankh mein ism-e-mohammad ki mahak
honT par harf-e-dua baqi hai
gopiyan hi kisi gokul mein nahin
bansiyon mein to sada baqi hai
panw ke niche sarakti hui ret
sar mein masnad ki hawa baqi hai
bich mein raat bachan bite milan
oT mein jalta diya baqi hai
karbala iffat insan ki baqa
luT ke bhi teri rida baqi hai
dekh ye phul ye mahtab na ja
rut mein ras shab mein nasha baqi hai
- Book : Ban Baas (Pg. 187)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.