hasrat-e-dil ko mar kar dekha
hasrat-e-dil ko mar kar dekha
Syeda Kauzar Munawar Sharqpuri
MORE BYSyeda Kauzar Munawar Sharqpuri
hasrat-e-dil ko maar kar dekhā
bojh saarā utaar kar dekhā
vaqt mumkin kahāñ guzāre to
jaise maiñ ne guzār kar dekhā
koī merī madad ko aayā nahīñ
maiñ ne sab ko pukār kar dekhā
daaġh chehre pe raqs karte rahe
aa.ine ko sañvār kar dekhā
vasl ta.abīr ho nahīñ saktā
hijr kā ḳhvāb maar kar dekhā
terī ḳhātir nahīñ jo karnā thā
dekh le vo bhī yaar kar dekhā
vaqt mumkin kahāñ guzāre to
jaise maiñ ne guzār kar dekhā
tishnagī kam na ho sakī 'kausar'
ek dariyā ko paar kar dekhā
hasrat-e-dil ko mar kar dekha
bojh sara utar kar dekha
waqt mumkin kahan guzare to
jaise main ne guzar kar dekha
koi meri madad ko aaya nahin
main ne sab ko pukar kar dekha
dagh chehre pe raqs karte rahe
aaine ko sanwar kar dekha
wasl tabir ho nahin sakta
hijr ka KHwab mar kar dekha
teri KHatir nahin jo karna tha
dekh le wo bhi yar kar dekha
waqt mumkin kahan guzare to
jaise main ne guzar kar dekha
tishnagi kam na ho saki 'kausar'
ek dariya ko par kar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.