hasrat-e-dil nikal bhi sakti hai
hasrat-e-dil nikal bhī saktī hai
zindagī ruḳh badal bhī saktī hai
rut yakāyak badal bhī saktī hai
shāḳh-e-ummīd phal bhī saktī hai
guftugū laakh ho mohabbat kī
dūsroñ ko vo khal bhī saktī hai
sham-e-umīd bazm-e-hastī meñ
bujh bhī saktī hai jal bhī saktī hai
apnī tārīḳh chhoḌ jaa.e 'la.īq'
ik havā aisī chal bhī saktī hai
hasrat-e-dil nikal bhi sakti hai
zindagi ruKH badal bhi sakti hai
rut yakayak badal bhi sakti hai
shaKH-e-ummid phal bhi sakti hai
guftugu lakh ho mohabbat ki
dusron ko wo khal bhi sakti hai
sham-e-umid bazm-e-hasti mein
bujh bhi sakti hai jal bhi sakti hai
apni tariKH chhoD jae 'laiq'
ek hawa aisi chal bhi sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.