Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasrat-e-intizar-e-yar na puchh

Noon Meem Rashid

hasrat-e-intizar-e-yar na puchh

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    hasrat-e-intizār-e-yār na pūchh

    haa.e vo shiddat-e-intizār na pūchh

    rañg-e-gulshan dam-e-bahār na pūchh

    vahshat-e-qalb-e-be-qarār na pūchh

    sadma-e-andalīb-e-zār na pūchh

    talḳh anjāmi-e-bahār na pūchh

    ġhair par lutf maiñ rahīn-e-sitam

    mujh se ā.īna-e-bazm-e-yār na pūchh

    de diyā dard mujh ko dil ke evaz

    haa.e lutf-e-sitam-shi.ār na pūchh

    phir huī yād-e-mai-kashī taaza

    masti-e-abr-e-nau-bahār na pūchh

    mujh ko dhokā hai tār-e-bistar

    nā-tavāni-e-jism-e-yār na pūchh

    maiñ huuñ nā-āshnā-e-vasl hunūz

    mujh se kaif-e-visāl-e-yār na pūchh

    hasrat-e-intizar-e-yar na puchh

    hae wo shiddat-e-intizar na puchh

    rang-e-gulshan dam-e-bahaar na puchh

    wahshat-e-qalb-e-be-qarar na puchh

    sadma-e-andalib-e-zar na puchh

    talKH anjami-e-bahaar na puchh

    ghair par lutf main rahin-e-sitam

    mujh se aaina-e-bazm-e-yar na puchh

    de diya dard mujh ko dil ke ewaz

    hae lutf-e-sitam-shiar na puchh

    phir hui yaad-e-mai-kashi taza

    masti-e-abr-e-nau-bahaar na puchh

    mujh ko dhoka hai tar-e-bistar ka

    na-tawani-e-jism-e-yar na puchh

    main hun na-ashna-e-wasl hunuz

    mujh se kaif-e-visal-e-yar na puchh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now