hasrat-e-zohra-washan sarw-qadan hai ki jo thi
hasrat-e-zohra-vashāñ sarv-qadāñ hai ki jo thī
apnā sarmāya-e-dil yād-e-butāñ hai ki jo thī
kaj-kulāhoñ se bhī sharminda na hone paa.e
ham meñ vo jur.at-e-iz.hār-e-bayāñ hai ki jo thī
vaz.a-dārī meñ koī farq na aayā sar-e-mū
vahī āvārgī-e-kū-e-butāñ hai ki jo thī
maiñ ne sarmāya-e-dil nazr-e-butāñ kar Daalā
mere nāseh ko magar fikr-e-ziyāñ hai ki jo thī
merī āshufta-mizājī mirī shorīda-sarī
ab bhī maqbūl-e-hasīnān-e-jahāñ hai ki jo thī
'shauq' taqdīr ne karvaT bhī na badlī ab tak
zindagī ab bhī vahī sañg-e-garāñ hai ki jo thī
hasrat-e-zohra-washan sarw-qadan hai ki jo thi
apna sarmaya-e-dil yaad-e-butan hai ki jo thi
kaj-kulahon se bhi sharminda na hone pae
hum mein wo jurat-e-izhaar-e-bayan hai ki jo thi
waza-dari mein koi farq na aaya sar-e-mu
wahi aawargi-e-ku-e-butan hai ki jo thi
main ne sarmaya-e-dil nazr-e-butan kar Dala
mere naseh ko magar fikr-e-ziyan hai ki jo thi
meri aashufta-mizaji meri shorida-sari
ab bhi maqbul-e-hasinan-e-jahan hai ki jo thi
'shauq' taqdir ne karwaT bhi na badli ab tak
zindagi ab bhi wahi sang-e-garan hai ki jo thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.