hasrat hai mera soz-e-darun had se baDha de
hasrat hai merā soz-e-darūñ had se baḌhā de
yā shauq-e-tamāshā kī tamanna hī miTā de
dil jo ye sulagtā hai sadā soz meñ tere
ik qatra-e-naisāñ kabhī is dil pe girā de
dil ab bhī shanāsā-e-haqīqat nahīñ shāyad
ik baar vo zamzam ke subū phir se pilā de
dil sūrat-e-ā.īna ho har nafs se ḳhālī
phir tuur ke jalvoñ se use raakh banā de
hasrat hai mera soz-e-darun had se baDha de
ya shauq-e-tamasha ki tamanna hi miTa de
dil jo ye sulagta hai sada soz mein tere
ek qatra-e-naisan kabhi is dil pe gira de
dil ab bhi shanasa-e-haqiqat nahin shayad
ek bar wo zamzam ke subu phir se pila de
dil surat-e-aina ho har nafs se KHali
phir tur ke jalwon se use rakh bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.