Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasrat hai tujhe samne baiThe kabhi dekhun

Kishwar Naheed

hasrat hai tujhe samne baiThe kabhi dekhun

Kishwar Naheed

hasrat hai tujhe sāmne baiThe kabhī dekhūñ

maiñ tujh se muḳhātib huuñ tirā haal bhī pūchhūñ

dil meñ hai mulāqāt ḳhvāhish dabī aag

mehñdī lage hāthoñ ko chhupā kar kahāñ rakkhūñ

jis naam se ne mujhe bachpan se pukārā

ik 'umr guzarne pe bhī vo naam na bhūlūñ

ashk ban ke mirī āñkhoñ meñ samā

maiñ ā.īna dekhūñ to tirā aks bhī dekhūñ

pūchhūñ kabhī ġhunchoñ se sitāroñ se havā se

tujh se magar aa ke tirā naam na pūchhūñ

jo shaḳhs ki hai ḳhvāb meñ aane se bhī ḳhā.if

ā.īna-e-dil meñ use maujūd dekhūñ

ai merī tamannā ke sitāre kahāñ hai

aa.e to ye jism shab-e-ġham ko na sauñpūñ

hasrat hai tujhe samne baiThe kabhi dekhun

main tujh se muKHatib hun tera haal bhi puchhun

dil mein hai mulaqat ki KHwahish ki dabi aag

mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun

jis nam se tu ne mujhe bachpan se pukara

ek 'umr guzarne pe bhi wo nam na bhulun

tu ashk hi ban ke meri aankhon mein sama ja

main aaina dekhun to tera aks bhi dekhun

puchhun kabhi ghunchon se sitaron se hawa se

tujh se hi magar aa ke tera nam na puchhun

jo shaKHs ki hai KHwab mein aane se bhi KHaif

aaina-e-dil mein use maujud hi dekhun

ai meri tamanna ke sitare tu kahan hai

tu aae to ye jism shab-e-gham ko na saunpun

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Munni Begum

Munni Begum

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now