Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din

Amjad Islam Amjad

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din

Amjad Islam Amjad

chehre pe mire zulf ko phailāo kisī din

kyā roz garajte ho baras jaao kisī din

rāzoñ tarah utro mire dil meñ kisī shab

dastak pe mire haath khul jaao kisī din

peḌoñ tarah husn bārish meñ nahā luuñ

bādal tarah jhuum ke ghar aao kisī din

ḳhushbū tarah guzro mirī dil galī se

phūloñ tarah mujh pe bikhar jaao kisī din

guzreñ jo mere ghar se to ruk jaa.eñ sitāre

is tarah mirī raat ko chamkāo kisī din

maiñ apnī har ik saañs usī raat ko de duuñ

sar rakh ke mire siine pe so jaao kisī din

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din

kya roz garajte ho baras jao kisi din

raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab

dastak pe mere hath ki khul jao kisi din

peDon ki tarah husn ki barish mein naha lun

baadal ki tarah jhum ke ghar aao kisi din

KHushbu ki tarah guzro meri dil ki gali se

phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din

guzren jo mere ghar se to ruk jaen sitare

is tarah meri raat ko chamkao kisi din

main apni har ek sans usi raat ko de dun

sar rakh ke mere sine pe so jao kisi din

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

Javed Naseem

Javed Naseem,

00:00/00:00
Fahad Husain

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din Fahad Husain

Javed Naseem

Chehre pe mere zulf ko bikhro kisi din - Amjad Islam Amjad Javed Naseem

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now