hasraten ban kar nigahon se baras jaenge hum
hasrateñ ban kar nigāhoñ se baras jā.eñge ham
ek din aa.egā jab un ko bhī yaad ā.eñge ham
chāñdnī ban kar kabhī dāman pe lahrā.eñge ham
ban ke aañsū gaah palkoñ par Thahar jā.eñge ham
shaam ko jām-e-masarrat bhar ke chalkā.eñge ham
sub.h ko daur-e-charāġh-e-bazm ban jā.eñge ham
phir kahāñ pā.eñge ham ko nau-urūsān-e-chaman
jab fazā-e-rañg-o-bū meñ jazb ho jā.eñge ham
TuuT jā.egā ġhurūr-e-bahr-e-nā-paidā-kanār
is tarah biphrī huī maujoñ se Takrā.eñge ham
jab zamāna ḳhud hī dhokā ban gayā 'shaukat' to phir
kaun jaane kis qadar dhoke abhī khā.eñge ham
hasraten ban kar nigahon se baras jaenge hum
ek din aaega jab un ko bhi yaad aaenge hum
chandni ban kar kabhi daman pe lahraenge hum
ban ke aansu gah palkon par Thahar jaenge hum
sham ko jam-e-masarrat bhar ke chalkaenge hum
subh ko daur-e-charagh-e-bazm ban jaenge hum
phir kahan paenge hum ko nau-urusan-e-chaman
jab faza-e-rang-o-bu mein jazb ho jaenge hum
TuT jaega ghurur-e-bahr-e-na-paida-kanar
is tarah biphri hui maujon se Takraenge hum
jab zamana KHud hi dhoka ban gaya 'shaukat' to phir
kaun jaane kis qadar dhoke abhi khaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.