hasrato saz uThao to koi baat bane
hasrato saaz uThāo to koī baat bane
naġhma-e-kaif sunāo to koī baat bane
mere siine meñ nayā dard jagāne vaalo
merī qismat bhī jagāo to koī baat bane
ashk āñkhoñ meñ chhupāne se bhalā kyā hāsil
bhīgī palkoñ ko uThāo to koī baat bane
mahfil-e-dil kī fazā meñ to añdherā hai bahut
kuchh na.ī sham.eñ jalāo to koī baat bane
bikhre ash.ār ke mānind hai mastī merī
ik ġhazal in se banāo to koī baat bane
apne hī dil ke shafaq-rang lahū se 'dilbar'
phuul patthar pe khilāo to koī baat bane
hasrato saz uThao to koi baat bane
naghma-e-kaif sunao to koi baat bane
mere sine mein naya dard jagane walo
meri qismat bhi jagao to koi baat bane
ashk aankhon mein chhupane se bhala kya hasil
bhigi palkon ko uThao to koi baat bane
mahfil-e-dil ki faza mein to andhera hai bahut
kuchh nai shamen jalao to koi baat bane
bikhre ashaar ke manind hai masti meri
ek ghazal in se banao to koi baat bane
apne hi dil ke shafaq-rang lahu se 'dilbar'
phul patthar pe khilao to koi baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.