hassas dil tha tab-e-nazara bikhar gai
hassās dil thā tāb-e-nazāra bikhar ga.ī
phailī huī thī pyaas jahāñ tak nazar ga.ī
darvāza kholte hī 'ajab sāneha huā
manzar kī aag sab mire siine meñ bhar ga.ī
zinda huuñ ab bhī gar hai tanaffus kā naam ziist
siine meñ koī chiiz jo zinda thī mar ga.ī
ab kis kī justujū meñ zamāna hai ġhota-zan
pātāl meñ ḳhulūs kī kashtī utar ga.ī
hassas dil tha tab-e-nazara bikhar gai
phaili hui thi pyas jahan tak nazar gai
darwaza kholte hi 'ajab saneha hua
manzar ki aag sab mere sine mein bhar gai
zinda hun ab bhi gar hai tanaffus ka nam zist
sine mein koi chiz jo zinda thi mar gai
ab kis ki justuju mein zamana hai ghota-zan
patal mein KHulus ki kashti utar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.