hastī kā surāġh lag chukā hai
ik aur dimāġh lag chukā hai
nafrat kā biij bone vaalo
dekho yahāñ baaġh lag chukā hai
jo dekhe vo dekhe masḳh chehra
ā.īne pe daaġh lag chukā hai
ab DhūñDo nishān tīrgī kā
ab haath charāġh lag chukā hai
hoñToñ pe hai sabt aks-e-qātil
āñkhoñ se ayāġh lag chukā hai
pās-e-nāmūs karte karte
nāmūs pe daaġh lag chukā hai
ab jiinā ziyāñ hai zindagī kā
dil sū-e-farāġh lag chukā hai
hasti ka suragh lag chuka hai
ek aur dimagh lag chuka hai
nafrat ka bij bone walo
dekho yahan bagh lag chuka hai
jo dekhe wo dekhe masKH chehra
aaine pe dagh lag chuka hai
ab DhunDo nishan tirgi ka
ab hath charagh lag chuka hai
honTon pe hai sabt aks-e-qatil
aankhon se ayagh lag chuka hai
pas-e-namus karte karte
namus pe dagh lag chuka hai
ab jina ziyan hai zindagi ka
dil su-e-faragh lag chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.