hatheliyon mein lakiron ka jal tha kitna
hatheliyoñ meñ lakīroñ kā jaal thā kitnā
mire nasīb meñ merā zavāl thā kitnā
to jañgaloñ kī tarah aag mujh meñ phail ga.ī
ragoñ meñ bahtā huā ishti.āl thā kitnā
tabhī to jaltī chaTTānoñ pe lā ke pheñk diyā
mirā vajūd havā par vabāl thā kitnā
sabhī parinde mire paas aate Darte the
maiñ ḳhushk peḌ sahī be-misāl thā kitnā
magar milā na kahīñ sātvāñ javāb ab tak
mujhe satātā huā ik savāl thā kitnā
hatheliyon mein lakiron ka jal tha kitna
mere nasib mein mera zawal tha kitna
to jangalon ki tarah aag mujh mein phail gai
ragon mein bahta hua ishtial tha kitna
tabhi to jalti chaTTanon pe la ke phenk diya
mera wajud hawa par wabaal tha kitna
sabhi parinde mere pas aate Darte the
main KHushk peD sahi be-misal tha kitna
magar mila na kahin satwan jawab ab tak
mujhe satata hua ek sawal tha kitna
- Book : sheerazah (Pg. 124)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.