hausla kho na diya teri nahin se humne
hausla kho na diyā terī nahīñ se ham ne
kitnī shiknoñ ko chunā terī jabīñ se ham ne
vo bhī kyā din the ki dīvāna bane phirte the
sun liyā thā tire baare meñ kahīñ se ham ne
jis jagah pahle-pahal naam tirā aatā hai
dāstāñ apnī sunā.ī hai vahīñ se ham ne
yuuñ to ehsān hasīnoñ ke uThā.e haiñ bahut
pyaar lekin jo kiyā hai to tumhīñ se ham ne
kuchh samajh kar hī ḳhudā tujh ko kahā hai varna
kaun sī baat kahī itne yaqīñ se ham ne
hausla kho na diya teri nahin se hum ne
kitni shiknon ko chuna teri jabin se hum ne
wo bhi kya din the ki diwana bane phirte the
sun liya tha tere bare mein kahin se hum ne
jis jagah pahle-pahal nam tera aata hai
dastan apni sunai hai wahin se hum ne
yun to ehsan hasinon ke uThae hain bahut
pyar lekin jo kiya hai to tumhin se hum ne
kuchh samajh kar hi KHuda tujh ko kaha hai warna
kaun si baat kahi itne yaqin se hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.