hawa aashufta-tar rakhti hai hum aashufta-haalon ko
hawa aashufta-tar rakhti hai hum aashufta-haalon ko
Aziz Hamid Madni
MORE BYAziz Hamid Madni
havā āshufta-tar rakhtī hai ham āshufta-hāloñ ko
baratnā chāhtī hai dasht-e-majnūñ ke havāloñ ko
na aayā kuchh magar ham kushtagān-e-shauq ko aayā
havā kī zad meñ āḳhir be-sipar rakhnā ḳhayāloñ ko
ḳhudā rakkhe tujhe ai naqsh-e-dīvār-e-sanam-ḳhāna
kaheñge log dīvār-e-abad terī misāloñ ko
añdherī raat meñ ik dasht-e-vahshat zindagī niklī
chalā jaatā huuñ dāmān-e-nazar detā ujāloñ ko
bujhā jaatā hai dil sā ek la.al-e-shab charāġh āḳhir
kahāñ le jā.ūñ us ke saath ke sāhib-jamāloñ ko
khaḌī hai taaj pahne shahr meñ ḳhār-e-muġhīlāñ kā
javāb-e-tāza dene zindagī kohna savāloñ ko
ḳhayābāñ ḳhandaqoñ meñ khul ga.e vo mauj-e-ḳhūñ guzrī
havā-e-zaḳhma-var ne saaz samjhā hai nihāloñ ko
nikalne hī na paa.e halqa-e-dasht-e-tamannā se
milī thī gardish-e-parkār aisī kuchh ġhazāloñ ko
subū meñ maujzan āb-e-zamīr-e-mai-gusārāñ hai
tulū-e-sub.h tak raushan rakkheñge ham piyāloñ ko
kabūd o surḳh meñ thī nek o bad meñ daaġh o darmāñ meñ
havā sayyāh thī dekh aa.ī sab ġham ke shivāloñ ko
taġhayyur kī zamīñ par aadmī kā tez-rau partav
gayā hai sūrat-e-mish.al liye ā.inda sāloñ ko
hawa aashufta-tar rakhti hai hum aashufta-haalon ko
baratna chahti hai dasht-e-majnun ke hawalon ko
na aaya kuchh magar hum kushtagan-e-shauq ko aaya
hawa ki zad mein aaKHir be-sipar rakhna KHayalon ko
KHuda rakkhe tujhe ai naqsh-e-diwar-e-sanam-KHana
kahenge log diwar-e-abad teri misalon ko
andheri raat mein ek dasht-e-wahshat zindagi nikli
chala jata hun daman-e-nazar deta ujalon ko
bujha jata hai dil sa ek lal-e-shab charagh aaKHir
kahan le jaun us ke sath ke sahib-jamalon ko
khaDi hai taj pahne shahr mein KHar-e-mughilan ka
jawab-e-taza dene zindagi kohna sawalon ko
KHayaban KHandaqon mein khul gae wo mauj-e-KHun guzri
hawa-e-zaKHma-war ne saz samjha hai nihaalon ko
nikalne hi na pae halqa-e-dasht-e-tamanna se
mili thi gardish-e-parkar aisi kuchh ghazalon ko
subu mein maujzan aab-e-zamir-e-mai-gusaran hai
tulu-e-subh tak raushan rakkhenge hum piyalon ko
kabud o surKH mein thi nek o bad mein dagh o darman mein
hawa sayyah thi dekh aai sab gham ke shiwalon ko
taghayyur ki zamin par aadmi ka tez-rau partaw
gaya hai surat-e-mishal liye aainda salon ko
- Book : Kulliyat-e-Aziz Hamid Madni (Pg. 305)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.