hawa chale waraq-e-arzu palaT jae
havā chale varaq-e-ārzū palaT jaa.e
tulūa ho koī chehra to dhund chhaT jaa.e
yahī hai vaqt ki ḳhvāboñ ke bādbāñ kholo
kahīñ na phir se nadī āñsuoñ kī ghaT jaa.e
bulandiyoñ kī havas hī zamīn par laa.ī
kaho falak se ki ab rāste se haT jaa.e
giraft Dhīlī karo vaqt ko guzarne do
ki Dor phir na kahīñ sā.atoñ kī kaT jaa.e
isī liye nahīñ sote haiñ ham ki duniyā meñ
shab-e-firāq kī sauġhāt sab meñ baT jaa.e
hawa chale waraq-e-arzu palaT jae
tulua ho koi chehra to dhund chhaT jae
yahi hai waqt ki KHwabon ke baadban kholo
kahin na phir se nadi aansuon ki ghaT jae
bulandiyon ki hawas hi zamin par lai
kaho falak se ki ab raste se haT jae
giraft Dhili karo waqt ko guzarne do
ki Dor phir na kahin saaton ki kaT jae
isi liye nahin sote hain hum ki duniya mein
shab-e-firaq ki saughat sab mein baT jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.