hawa-e-sabz ka jhonka koi ghuncha khilata hai
havā-e-sabz kā jhoñkā koī ġhuncha khilātā hai
ḳhizāoñ kā tilism-e-zard āḳhir TuuT jaatā hai
guloñ ke maḳhmaleñ āñchal namī se bhiig jaate haiñ
kisī kī yaad meñ shab bhar falak aañsū bahātā hai
kisī be-mehr saa.at meñ tumhārā muskurā denā
shab-e-tārīk meñ jaise sitārā TimTimātā hai
ta.āqub titliyoñ kā par uThā laanā parindoñ ke
kisī jugnū ko āñchal meñ chhupānā yaad aatā hai
dhuāñ uThtā hai yādoñ kā sulagte dil ke pahlū se
kisī kī surmagīñ āñkhoñ kā kājal phail jaatā hai
hawa-e-sabz ka jhonka koi ghuncha khilata hai
KHizaon ka tilism-e-zard aaKHir TuT jata hai
gulon ke maKHmalen aanchal nami se bhig jate hain
kisi ki yaad mein shab bhar falak aansu bahata hai
kisi be-mehr saat mein tumhaara muskura dena
shab-e-tarik mein jaise sitara TimTimata hai
taaqub titliyon ka par uTha lana parindon ke
kisi jugnu ko aanchal mein chhupana yaad aata hai
dhuan uThta hai yaadon ka sulagte dil ke pahlu se
kisi ki surmagin aankhon ka kajal phail jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.