hawa-e-tez mein itna jala bujha hun main
havā-e-tez meñ itnā jalā bujhā huuñ maiñ
shab-e-siyāh se kah do ki thak gayā huuñ maiñ
mujhe tumhārī mohabbat abhī qubūl nahīñ
ka.ī udaas se chehroñ kā aasrā huuñ maiñ
tirī galī ke sivā aur dekhā bhī kyā hai
ki tere shahr meñ ab bhī nayā nayā huuñ maiñ
jo mas.ala thā udāsī kā merī zaat kā thā
mujhe lagā thā mohabbat meñ ġham-zada huuñ maiñ
kisī ne mujh ko batāyā abhī abhī aa kar
tumhāre dar pe baḌī der se khaḌā huuñ maiñ
ajiib hai ki tumheñ phir bhī ishq hai mujh se
sunā to tum ne bhī hogā ki bevafā huuñ maiñ
mujhe ye zindagī ab jaane bhī nahīñ degī
use ye kis ne batāyā ki mar rahā huuñ maiñ
hawa-e-tez mein itna jala bujha hun main
shab-e-siyah se kah do ki thak gaya hun main
mujhe tumhaari mohabbat abhi qubul nahin
kai udas se chehron ka aasra hun main
teri gali ke siwa aur dekha bhi kya hai
ki tere shahr mein ab bhi naya naya hun main
jo masala tha udasi ka meri zat ka tha
mujhe laga tha mohabbat mein gham-zada hun main
kisi ne mujh ko bataya abhi abhi aa kar
tumhaare dar pe baDi der se khaDa hun main
ajib hai ki tumhein phir bhi ishq hai mujh se
suna to tum ne bhi hoga ki bewafa hun main
mujhe ye zindagi ab jaane bhi nahin degi
use ye kis ne bataya ki mar raha hun main
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 40)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.