hawa ka lams jo apne kiwaD kholta hai
havā kā lams jo apne kivāḌ kholtā hai
to der tak mire ghar kā sukūt boltā hai
ham aise ḳhāk-nashīñ kyā lubhā sakeñge use
vo apnā 'aks bhī mīzān-e-zar meñ toltā hai
jo ho sake to yahī raat oḌh le tan par
bujhā charāġh añdhere meñ kyoñ TaToltā hai
usī se maañg lo ḳhairāt apne ḳhvāboñ kī
vo jāgtī huī āñkhoñ meñ niiñd gholtā hai
sunā hai zalzale aate haiñ ‘arsh par 'mohsin'
ki be-gunāh lahū jab sināñ pe boltā hai
hawa ka lams jo apne kiwaD kholta hai
to der tak mere ghar ka sukut bolta hai
hum aise KHak-nashin kya lubha sakenge use
wo apna 'aks bhi mizan-e-zar mein tolta hai
jo ho sake to yahi raat oDh le tan par
bujha charagh andhere mein kyon TaTolta hai
usi se mang lo KHairaat apne KHwabon ki
wo jagti hui aankhon mein nind gholta hai
suna hai zalzale aate hain ‘arsh par 'mohsin'
ki be-gunah lahu jab sinan pe bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.