hawa kabhi yun bhi iThlati aati thi
havā kabhī yuuñ bhī iThlātī aatī thī
pāyal se santūr bajātī aatī thī
aisā ḳhushk kinārā ye sāhil kab thā
nadī yahāñ tak bhī lahrātī aatī thī
ek sitārā jagmag kartā thā chhat par
kiran zamīñ tak badan churātī aatī thī
vahshī apnī dhuul uḌātā jaatā thā
ḳhalq-e-ḳhudā neze lahrātī aatī thī
khule hue gulzār sī koī ḳhush-badanī
shahar-e-sukūt meñ lahar uThātī aatī thī
shahzādī phir shahr-e-sabā ko lauT ga.ī
dasht meñ jo sau sham.eñ jalātī aatī thī
yahī nidā-e-koh jo aatī hai kal bhī
baḳht-burīdoñ ko bahlātī aatī thī
hawa kabhi yun bhi iThlati aati thi
payal se santur bajati aati thi
aisa KHushk kinara ye sahil kab tha
nadi yahan tak bhi lahraati aati thi
ek sitara jagmag karta tha chhat par
kiran zamin tak badan churaati aati thi
wahshi apni dhul uData jata tha
KHalq-e-KHuda neze lahraati aati thi
khule hue gulzar si koi KHush-badani
shahar-e-sukut mein lahar uThati aati thi
shahzadi phir shahr-e-saba ko lauT gai
dasht mein jo sau shamen jalati aati thi
yahi nida-e-koh jo aati hai kal bhi
baKHt-buridon ko bahlati aati thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.