hawa ke dosh pe ye jo sawar pani hai
havā ke dosh pe ye jo savār paanī hai
mirā yaqīn karo be-shumār paanī hai
ki pyaas bujh nahīñ paa.ī hai is se pyāsoñ kī
isī liye to bahut sharmsār paanī hai
bujhe kuchh aise nadī meñ charāġh bahte hue
havā.eñ hañsne lagīñ sogvār paanī hai
tū ek jhiil hai saif-ul-mulūk ke jaisī
meñ aisā thar ki jahāñ ār-pār paanī hai
maiñ dekh haath meñ mashkīza le ke aayā huuñ
ki ek pyāse ko ye regzār paanī hai
hawa ke dosh pe ye jo sawar pani hai
mera yaqin karo be-shumar pani hai
ki pyas bujh nahin pai hai is se pyason ki
isi liye to bahut sharmsar pani hai
bujhe kuchh aise nadi mein charagh bahte hue
hawaen hansne lagin sogwar pani hai
tu ek jhil hai saif-ul-muluk ke jaisi
mein aisa thar ki jahan aar-par pani hai
main dekh hath mein mashkiza le ke aaya hun
ki ek pyase ko ye regzar pani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.