hawa ke hath mein yaadon ki jab pichkariyan hongi
havā ke haath meñ yādoñ kī jab pichkāriyāñ hoñgī
bhaḌak uTTheñgī jo bhī raakh meñ chingāriyāñ hoñgī
dar-o-dīvār ko hī ghar nahīñ kahte haiñ kyā jā.ūñ
lachaktī shāḳh-e-gul hogī na hañstī kyāriyāñ hoñgī
mire āñgan meñ barg-e-ḳhushk dālānoñ meñ sannāTe
kushāda kamroñ meñ dīmak-zada almāriyāñ hoñgī
idhar sach bolne ghar se koī dīvāna niklegā
udhar maqtal meñ istiqbāl kī tayyāriyāñ hoñgī
ham ahl-e-dil ke jo kuchh dil meñ hai lab par vahī bāteñ
vo ahl-e-hosh haiñ un ke yahāñ ayyāriyāñ hoñgī
hamārā kyā chale jā.eñge hañste shahr se tere
hamāre baa'd dīvāroñ pe ḳhuuñ kī dhāriyāñ hoñgī
saroñ se pur haiñ gaDDhe ḳhuun kā chhiḌkāv hai har-sū
vo aa.eñ be-ḳhatar rāhoñ meñ ab hamvāriyāñ hoñgī
maiñ shahr aayā baḌe hī shauq se lekin ḳhabar kyā thī
yahāñ āñkheñ bichhā.e raah meñ be-kāriyāñ hoñgī
vo uTThā kārvān-e-sub.h kī aamad kā shor 'anjum'
sharīk-e-bazm-e-shab meñ kuuch kī tayyāriyāñ hoñgī
hawa ke hath mein yaadon ki jab pichkariyan hongi
bhaDak uTThengi jo bhi rakh mein chingariyan hongi
dar-o-diwar ko hi ghar nahin kahte hain kya jaun
lachakti shaKH-e-gul hogi na hansti kyariyan hongi
mere aangan mein barg-e-KHushk dalanon mein sannaTe
kushada kamron mein dimak-zada almariyan hongi
idhar sach bolne ghar se koi diwana niklega
udhar maqtal mein istiqbaal ki tayyariyan hongi
hum ahl-e-dil ke jo kuchh dil mein hai lab par wahi baaten
wo ahl-e-hosh hain un ke yahan ayyariyan hongi
hamara kya chale jaenge hanste shahr se tere
hamare ba'd diwaron pe KHun ki dhaariyan hongi
saron se pur hain gaDDhe KHun ka chhiDkaw hai har-su
wo aaen be-KHatar rahon mein ab hamwariyan hongi
main shahr aaya baDe hi shauq se lekin KHabar kya thi
yahan aankhen bichhae rah mein be-kariyan hongi
wo uTTha karwan-e-subh ki aamad ka shor 'anjum'
sharik-e-bazm-e-shab mein kuch ki tayyariyan hongi
- Book : Libas-e-zakhm (Pg. 39)
- Author : Badruddin Ahmed Khan
- Publication : Anjum Irfani (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.