hawa ke ruKH pe khula baadban andhere ka
havā ke ruḳh pe khulā bādbāñ añdhere kā
yahāñ pe naam nahīñ ab kisī savere kā
uThā ke le gayā sarvat kabhī kā hai jogī
koī surāġh nahīñ ab usī ke phere kā
havā-e-garm ke tapte libās meñ pahroñ
vo saaya Tāñktā hai har shajar ghanere kā
har ek shāḳh se sandal ke saañp haiñ lipTe
asar pazīr nahīñ koī dam sapere kā
sukūt vo hai ki jāmid hai lamha-e-maujūd
hayāt ḳhvāb ho jaise kisī luTere kā
har ek saañs pe dhaḌkā hai maut kā 'ābid'
ye zindagī hai ki hai ghar kisī vadere kā
hawa ke ruKH pe khula baadban andhere ka
yahan pe nam nahin ab kisi sawere ka
uTha ke le gaya sarwat kabhi ka hai jogi
koi suragh nahin ab usi ke phere ka
hawa-e-garm ke tapte libas mein pahron
wo saya Tankta hai har shajar ghanere ka
har ek shaKH se sandal ke sanp hain lipTe
asar pazir nahin koi dam sapere ka
sukut wo hai ki jamid hai lamha-e-maujud
hayat KHwab ho jaise kisi luTere ka
har ek sans pe dhaDka hai maut ka 'abid'
ye zindagi hai ki hai ghar kisi wadere ka
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 388)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.