hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya
havā ke zor se pindār-e-bām-o-dar bhī gayā
charāġh ko jo bachāte the un kā ghar bhī gayā
pukārte rahe mahfūz kashtiyoñ vaale
maiñ Dūbtā huā dariyā ke paar utar bhī gayā
ab ehtiyāt kī dīvār kyā uThāte ho
jo chor dil meñ chhupā thā vo kaam kar bhī gayā
maiñ chup rahā ki isī meñ thī āfiyat jaañ kī
koī to merī tarah thā jo daar par bhī gayā
sulagte sochte vīrān mausamoñ kī tarah
kaḌā thā ahd-e-javānī magar guzar bhī gayā
jise bhulā na sakā us ko yaad kyā rakhtā
jo naam lab pe rahā zehn se utar bhī gayā
phaTī phaTī huī āñkhoñ se yuuñ na dekh mujhe
tujhe talāsh hai jis shaḳhs kī vo mar bhī gayā
magar falak ko adāvat usī ke ghar se thī
jahāñ 'farāz' na thā sail-e-ġham udhar bhī gayā
hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya
charagh ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya
pukarte rahe mahfuz kashtiyon wale
main Dubta hua dariya ke par utar bhi gaya
ab ehtiyat ki diwar kya uThate ho
jo chor dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya
main chup raha ki isi mein thi aafiyat jaan ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya
sulagte sochte viran mausamon ki tarah
kaDa tha ahd-e-jawani magar guzar bhi gaya
jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo nam lab pe raha zehn se utar bhi gaya
phaTi phaTi hui aankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis shaKHs ki wo mar bhi gaya
magar falak ko adawat usi ke ghar se thi
jahan 'faraaz' na tha sail-e-gham udhar bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.