Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ki Dor mein TuTe hue tare piroti hai

Shahid Kamal

hawa ki Dor mein TuTe hue tare piroti hai

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    havā Dor meñ TuuTe hue taare pirotī hai

    ye tanhā.ī ajab laḌkī hai sannāTe meñ rotī hai

    mohabbat meñ lagā rahtā hai andesha judā.ī

    kisī ke ruuTh jaane se kamī mahsūs hotī hai

    ḳhamoshī qabā pahne hai mahv-e-guftugū koī

    barahna jism tanhā.ī mire pahlū meñ sotī hai

    ye āñkheñ roz apne āñsuoñ ke surḳh resham se

    nayā kuchh ḳhvāb buntī hai koī sapnā sañjotī hai

    lahū meñ tairne lagtā hai jab vo chāñd chehrā

    havā-e-dard siine meñ koī neza chubhotī hai

    ye shahr-e-raftagāñ hai ab yahāñ koī nahīñ aatā

    ye kis ke paaoñ aahaT mujhe mahsūs hotī hai

    burīda-sar paḌā hai kushta-e-ummīd sahrā meñ

    udāsī ḳhaak par baiThī huī āñchal bhigotī he

    hawa ki Dor mein TuTe hue tare piroti hai

    ye tanhai ajab laDki hai sannaTe mein roti hai

    mohabbat mein laga rahta hai andesha judai ka

    kisi ke ruTh jaane se kami mahsus hoti hai

    KHamoshi ki qaba pahne hai mahw-e-guftugu koi

    barahna jism tanhai mere pahlu mein soti hai

    ye aankhen roz apne aansuon ke surKH resham se

    naya kuchh KHwab bunti hai koi sapna sanjoti hai

    lahu mein tairne lagta hai jab wo chand sa chehra

    hawa-e-dard sine mein koi neza chubhoti hai

    ye shahr-e-raftagan hai ab yahan koi nahin aata

    ye kis ke paon ki aahaT mujhe mahsus hoti hai

    burida-sar paDa hai kushta-e-ummid sahra mein

    udasi KHak par baiThi hui aanchal bhigoti he

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now