hawa ki jalti hui rida ko sahab kar de
havā kī jaltī huī ridā ko sahāb kar de
sulagtī rātoñ kī sā.atoñ ko gulāb kar de
maiñ pyaas ban kar samundaroñ ko pukār aayā
jazā de yā merī tishnagī kā hisāb kar de
sarāb-o-sahrā habāb-o-dariyā mirī kahānī
varaq varaq noch kar mujhe be kitāb kar de
lahū kī bārish zamīn se pyaar kā sila hai
to kaaT de merā sar mujhe āftāb kar de
duā ke sūkhe hue laboñ par itaab kaisā
nichoḌ de bādaloñ ko ātish ko aab kar de
hawa ki jalti hui rida ko sahab kar de
sulagti raaton ki saaton ko gulab kar de
main pyas ban kar samundaron ko pukar aaya
jaza de ya meri tishnagi ka hisab kar de
sarab-o-sahra habab-o-dariya meri kahani
waraq waraq noch kar mujhe be kitab kar de
lahu ki barish zamin se pyar ka sila hai
to kaT de mera sar mujhe aaftab kar de
dua ke sukhe hue labon par itab kaisa
nichoD de baadalon ko aatish ko aab kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.