hawa ki nazar se bacha aate aate
havā kī nazar se bachā aate aate
kahīñ bujh na jaa.e diyā aate aate
jahāñ se guzarnā nahīñ thā vahīñ se
milā zindagī kā pata aate aate
na mā'lūm ye kitnī mauteñ marī hai
tumhāre laboñ tak du'ā aate aate
namāzī yā kāfir koī to batā de
dikhā kyā kisī ko ḳhudā aate aate
tumhāre makāñ se hamāre makāñ tak
kahāñ pe rukī hai ghaTā aate aate
hawa ki nazar se bacha aate aate
kahin bujh na jae diya aate aate
jahan se guzarna nahin tha wahin se
mila zindagi ka pata aate aate
na ma'lum ye kitni mauten mari hai
tumhaare labon tak du'a aate aate
namazi ya kafir koi to bata de
dikha kya kisi ko KHuda aate aate
tumhaare makan se hamare makan tak
kahan pe ruki hai ghaTa aate aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.