hawa ki zad mein patte ki tarah tha
havā kī zad meñ patte kī tarah thā
vo ik zaḳhmī parinde kī tarah thā
kabhī hañgāma-zā thā be-sabab vo
kabhī gūñge tamāshe kī tarah thā
khilaunoñ kī numā.ish thī jahāñ vo
kisī gum-gashta bachche kī tarah thā
sañbhaltā kyā ki sar sar sail meñ vo
ukhaḌte girte ḳheme kī tarah thā
ugaltā bulbule phuul aur sho'le
vo chābī ke khilaune kī tarah thā
the us ke bāl-o-par qaiñchī kī zad meñ
vahī tanhā farishte kī tarah thā
anā-inkār meñ ā.īna TuuTā
jo bār-e-dosh chehre kī tarah thā
hawa ki zad mein patte ki tarah tha
wo ek zaKHmi parinde ki tarah tha
kabhi hangama-za tha be-sabab wo
kabhi gunge tamashe ki tarah tha
khilaunon ki numaish thi jahan wo
kisi gum-gashta bachche ki tarah tha
sanbhalta kya ki sar sar sail mein wo
ukhaDte girte KHeme ki tarah tha
ugalta bulbule phul aur sho'le
wo chabi ke khilaune ki tarah tha
the us ke baal-o-par qainchi ki zad mein
wahi tanha farishte ki tarah tha
ana-inkar mein aaina TuTa
jo bar-e-dosh chehre ki tarah tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.