hawa ki zad pe to koi charagh rahne de
havā kī zad pe to koī charāġh rahne de
ye hausloñ kī laḌā.ī hai is ko chalne de
na jaane kaun bhaTaktā huā chalā aa.e
kivāḌ band kiyā hai diyā to jalne de
abhī to aur uTheñge naqāb chehroñ se
ye eqtidār kā sūraj to aur Dhalne de
ye ko.elā se banā deñge tujh ko ik hiirā
ye andarūñ meñ hai jo aag is ko jalne de
koī to hai jo ye asrār kā.enāt meñ haiñ
ye sab khuleñge zarā aur din nikalne de
'nadīm' ā.eñge vo bañdh ke kachche dhāge se
is aarzū ko zarā aur dil meñ palne de
hawa ki zad pe to koi charagh rahne de
ye hauslon ki laDai hai is ko chalne de
na jaane kaun bhaTakta hua chala aae
kiwaD band kiya hai diya to jalne de
abhi to aur uThenge naqab chehron se
ye eqtidar ka suraj to aur Dhalne de
ye koela se bana denge tujh ko ek hira
ye andarun mein hai jo aag is ko jalne de
koi to hai jo ye asrar kaenat mein hain
ye sab khulenge zara aur din nikalne de
'nadim' aaenge wo bandh ke kachche dhage se
is aarzu ko zara aur dil mein palne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.