hawa ko tham len KHushbu ka ehtimam karen
havā ko thaam leñ ḳhushbū kā ehtimām kareñ
sañvar liyā ho to ham chāñd se kalām kareñ
ham apne sog bhulā ke unheñ salāmī deñ
chalo ki hijr ke māroñ kā ehtirām kareñ
gulāb-rut meñ kisī chhat pe rañg le ke chaleñ
junūñ meñ bhīgne vāloñ kā intizām kareñ
purāne beliyoñ se milte aa.eñ gaañv meñ
galī meñ baiThe faqīroñ ko bhī salām kareñ
vo shaḳhs dost thā ab vo adū huā to kyā
vo aa rahā hai jo milne to ehtimām kareñ
tumheñ ye chaah ki ab long drive pe nikleñ
hameñ ye fikr ki daftar kā thoḌā kaam kareñ
ham apnī raah se bhaTke hue musāfir haiñ
kinheñ paḌī ki koī shaam apne naam kareñ
bahut baras hue haiñ parvarish kiye dukh kī
chalo ki dard kī shiddat kā ehtimām kareñ
hawa ko tham len KHushbu ka ehtimam karen
sanwar liya ho to hum chand se kalam karen
hum apne sog bhula ke unhen salami den
chalo ki hijr ke maron ka ehtiram karen
gulab-rut mein kisi chhat pe rang le ke chalen
junun mein bhigne walon ka intizam karen
purane beliyon se milte aaen ganw mein
gali mein baiThe faqiron ko bhi salam karen
wo shaKHs dost tha ab wo adu hua to kya
wo aa raha hai jo milne to ehtimam karen
tumhein ye chah ki ab long driwe pe niklen
hamein ye fikr ki daftar ka thoDa kaam karen
hum apni rah se bhaTke hue musafir hain
kinhen paDi ki koi sham apne nam karen
bahut baras hue hain parwarish kiye dukh ki
chalo ki dard ki shiddat ka ehtimam karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.