hawa mahak uThi rang-e-chaman badalne laga
havā mahak uThī rañg-e-chaman badalne lagā
vo mere sāmne jab pairahan badalne lagā
baham hue haiñ to ab guftugū nahīñ hotī
bayān-e-hāl meñ tarz-e-suḳhan badalne lagā
añdhere meñ bhī mujhe jagmagā gayā hai koī
bas ik nigāh se rañg-e-badan badalne lagā
zarā sī der ko bārish rukī thī shāḳhoñ par
mizāj-e-sosan-o-sarv-o-saman badalne lagā
farāz-e-koh pe bijlī kuchh is tarah chamkī
libās-e-vādī-o-dasht-o-daman badalne lagā
hawa mahak uThi rang-e-chaman badalne laga
wo mere samne jab pairahan badalne laga
baham hue hain to ab guftugu nahin hoti
bayan-e-haal mein tarz-e-suKHan badalne laga
andhere mein bhi mujhe jagmaga gaya hai koi
bas ek nigah se rang-e-badan badalne laga
zara si der ko barish ruki thi shaKHon par
mizaj-e-sosan-o-sarw-o-saman badalne laga
faraaz-e-koh pe bijli kuchh is tarah chamki
libas-e-wadi-o-dasht-o-daman badalne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.