hawa mein uD na jae dastan dil ki dhuan ho kar
havā meñ uḌ na jaa.e dāstāñ dil kī dhuāñ ho kar
ġhazal maiñ ne kahī hai boltī sī be-zabāñ ho kar
hamāre jism par sūraj sitāre chāñd chamkeñge
agar ham phail jā.eñge jahāñ meñ āsmāñ ho kar
mire pīchhe bahut ashkoñ bahut yādoñ kī duniyā hai
chalā huuñ is zamīñ par har jagah maiñ kārvāñ ho kar
yaqīnan phūloñ kī ḳhushbū meñ jā kar ghul ga.ī hogī
havā kuchh der pahle hī ga.ī mere yahāñ ho kar
kisī chaurāh pe jab zindagī jā kar bhaTaktī hai
mohabbat raah batlātī hai vo guzre kahāñ ho kar
bahut nazdīk se tanhā.iyāñ maiñ ne nibhā.ī haiñ
jahāñ kī bhiiḌ se thoḌā yahāñ thoḌā vahāñ ho kar
hawa mein uD na jae dastan dil ki dhuan ho kar
ghazal main ne kahi hai bolti si be-zaban ho kar
hamare jism par suraj sitare chand chamkenge
agar hum phail jaenge jahan mein aasman ho kar
mere pichhe bahut ashkon bahut yaadon ki duniya hai
chala hun is zamin par har jagah main karwan ho kar
yaqinan phulon ki KHushbu mein ja kar ghul gai hogi
hawa kuchh der pahle hi gai mere yahan ho kar
kisi chaurah pe jab zindagi ja kar bhaTakti hai
mohabbat rah batlati hai wo guzre kahan ho kar
bahut nazdik se tanhaiyan main ne nibhai hain
jahan ki bhiD se thoDa yahan thoDa wahan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.