hawa mein zor udhar sud-o-ziyan ka
havā meñ zor udhar sūd-o-ziyāñ kā
idhar paivand-e-ḳhasta bādbāñ kā
darīcha kholne se aar tum ko
hameñ bhī Dar bahut hai shahr-e-jāñ kā
mire hisse meñ hai ḳhāna-ḳharābī
tirī qismat meñ rasta kahkashāñ kā
chalo chal kar takān apnī utāreñ
kahīñ rasta na kho jaa.e makāñ kā
kisī ke palle kyā paḌtī kahānī
varaq gum hai hamārī dāstāñ kā
ye kis se mo.ajiza sarzad huā hai
har ik dar khul gayā hai jism-o-jāñ kā
sajā.eñ bā-dil-e-nā-ḳhvāsta kyoñ
zabān-e-yār meñ taḳhta dukāñ kā
hawa mein zor udhar sud-o-ziyan ka
idhar paiwand-e-KHasta baadban ka
daricha kholne se aar tum ko
hamein bhi Dar bahut hai shahr-e-jaan ka
mere hisse mein hai KHana-KHarabi
teri qismat mein rasta kahkashan ka
chalo chal kar takan apni utaren
kahin rasta na kho jae makan ka
kisi ke palle kya paDti kahani
waraq gum hai hamari dastan ka
ye kis se moajiza sarzad hua hai
har ek dar khul gaya hai jism-o-jaan ka
sajaen ba-dil-e-na-KHwasta kyon
zaban-e-yar mein taKHta dukan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.