hawa pe chal raha hai chand rahwar ki tarah
havā pe chal rahā hai chāñd rāhvār kī tarah
qadam uThā rahī hai raat ik savār kī tarah
fasīl-e-vādi-e-ḳhayāl se utar rahī hai shab
kisī ḳhamosh aur udaas ābshār kī tarah
taḌap rahā hai bārishoñ meñ mere jism kā shajar
siyāh abr meñ ghire hue chinār kī tarah
inhī udāsiyoñ kī kā.enāt meñ kabhī to maiñ
ḳhizāñ ko jiit lūñgī mausam-e-bahār kī tarah
tire ḳhayāl ke safar meñ tere saath maiñ bhī huuñ
kahīñ kahīñ kisī ġhubār-e-rah-guzār kī tarah
'ubūr kar sakī na fāsloñ kī gardishoñ ko maiñ
buland ho ga.ī zamīn kohsār kī tarah
tire diye kī raushnī ko DhūñDtā hai shaam se
mirā makāñ kisī luTe hue dayār kī tarah
hawa pe chal raha hai chand rahwar ki tarah
qadam uTha rahi hai raat ek sawar ki tarah
fasil-e-wadi-e-KHayal se utar rahi hai shab
kisi KHamosh aur udas aabshaar ki tarah
taDap raha hai barishon mein mere jism ka shajar
siyah abr mein ghire hue chinar ki tarah
inhi udasiyon ki kaenat mein kabhi to main
KHizan ko jit lungi mausam-e-bahaar ki tarah
tere KHayal ke safar mein tere sath main bhi hun
kahin kahin kisi ghubar-e-rah-guzar ki tarah
'ubur kar saki na faslon ki gardishon ko main
buland ho gai zamin kohsar ki tarah
tere diye ki raushni ko DhunDta hai sham se
mera makan kisi luTe hue dayar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.