hawa se kaise kahun kya mila bujhane se
havā se kaise kahūñ kyā milā bujhāne se
maiñ thak gayā huuñ diye par diyā jalāne se
use pukār mire dil ki jis ne pichhle baras
kiyā thā tark-e-ta.alluq kisī bahāne se
to soch ḳhud ki jo tarkash pe aan baiThā hai
vo bach sakegā kahāñ tak tire nishāne se
ga.e dinoñ kī rifāqat kā ye asar hai ki ab
na.e dinoñ meñ bhī lagte haiñ ham purāne se
hawa se kaise kahun kya mila bujhane se
main thak gaya hun diye par diya jalane se
use pukar mere dil ki jis ne pichhle baras
kiya tha tark-e-talluq kisi bahane se
to soch KHud ki jo tarkash pe aan baiTha hai
wo bach sakega kahan tak tere nishane se
gae dinon ki rifaqat ka ye asar hai ki ab
nae dinon mein bhi lagte hain hum purane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.