hawa se rabt zara soch kar banana tha
havā se rabt zarā soch kar banānā thā
hameñ zamīñ pe utarnā thā ghar banānā thā
ḳhushī banānī thī pahle kisī ta.alluq kī
phir is ḳhushī ko bachāne kā Dar banānā thā
hamārī aañkh ko ab tak samajh nahīñ aa.ī
ki pahle ashk yā pahle kohar banānā thā
are ye ishq bhī to manchale kā saudā hai
hamāre bas meñ jo hotā kidhar banānā thā
havā to roz sunātī thī dhuup rauzan se
magar hameñ yahāñ sūraj sā dar banānā thā
suno ye aib kisī rañg se nahīñ chhupne
bas ek hal thā hameñ toḌ kar banānā thā
muaaf karnā tujhe khul ke likh nahīñ paa.e
hameñ ye qissa zarā muḳhtasar banānā thā
hawa se rabt zara soch kar banana tha
hamein zamin pe utarna tha ghar banana tha
KHushi banani thi pahle kisi talluq ki
phir is KHushi ko bachane ka Dar banana tha
hamari aankh ko ab tak samajh nahin aai
ki pahle ashk ya pahle kohar banana tha
are ye ishq bhi to manchale ka sauda hai
hamare bas mein jo hota kidhar banana tha
hawa to roz sunati thi dhup rauzan se
magar hamein yahan suraj sa dar banana tha
suno ye aib kisi rang se nahin chhupne
bas ek hal tha hamein toD kar banana tha
muaf karna tujhe khul ke likh nahin pae
hamein ye qissa zara muKHtasar banana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.