hawaen chandni mein kanpti hain
havā.eñ chāñdnī meñ kāñptī haiñ
mirā mahtāb dukh pahchāntī haiñ
utar saktī nahīñ husn-e-bayāñ meñ
jo rāteñ harf-e-jāñ ko kāTtī haiñ
bhañvar paa.el mire pairoñ se uljhī
tirī yādoñ kī lahreñ nāchtī haiñ
mirī āñkhoñ meñ sāhil tak namī hai
magar nazreñ ki sahrā chhāntī haiñ
badan meñ chup añdherā so rahā hai
umañgeñ ek taarā māñgtī haiñ
harī ye kisht-e-jāñ kyā ho sakegī
zamīneñ to numū se bhāgtī haiñ
hawaen chandni mein kanpti hain
mera mahtab dukh pahchanti hain
utar sakti nahin husn-e-bayan mein
jo raaten harf-e-jaan ko kaTti hain
bhanwar pael mere pairon se uljhi
teri yaadon ki lahren nachti hain
meri aankhon mein sahil tak nami hai
magar nazren ki sahra chhanti hain
badan mein chup andhera so raha hai
umangen ek tara mangti hain
hari ye kisht-e-jaan kya ho sakegi
zaminen to numu se bhagti hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 247)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.