hawaen chup thin lahakti jihat pe koi na tha
havā.eñ chup thiiñ lahaktī jihat pe koī na thā
patang luuT ke aayā to chhat pe koī na thā
baḌe dinoñ meñ parindoñ se guftugū sīkhī
phir inhisār hamārā luġhat pe koī na thā
paḌī vo dhuup ki shahzādiyāñ Thahar na sakīñ
vahī thiiñ reshmī sāñseñ bunat pe koī na thā
vahī rahī sahī bāteñ vahī rahe sahe ġham
tamām shahr meñ apnī sifat pe koī na thā
rahīn-e-dil koī dukh thā lahū ke saath gayā
mirā udhār kisī saltanat pe koī na thā
sabhī ko ek hī ujlat ki rasm puurī ho
baham the log magar ta.aziyat pe koī na thā
hawaen chup thin lahakti jihat pe koi na tha
patang luT ke aaya to chhat pe koi na tha
baDe dinon mein parindon se guftugu sikhi
phir inhisar hamara lughat pe koi na tha
paDi wo dhup ki shahzadiyan Thahar na sakin
wahi thin reshmi sansen bunat pe koi na tha
wahi rahi sahi baaten wahi rahe sahe gham
tamam shahr mein apni sifat pe koi na tha
rahin-e-dil koi dukh tha lahu ke sath gaya
mera udhaar kisi saltanat pe koi na tha
sabhi ko ek hi ujlat ki rasm puri ho
baham the log magar taziyat pe koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.