hawaon mein dilon ka karwan hai
havāoñ meñ diloñ kā kārvāñ hai
muqaddas ishq jab se mehrbāñ hai
mire dil ko sukūñ aayā yahīñ par
baḌā maḳhsūs terā āstāñ hai
vo mujh se duur jā.egā bhī kaise
jo merī ruuh ke andar nihāñ hai
mohabbat ke safar par jaao lekin
vahāñ har moḌ par ik imtihāñ hai
mire dil par usī kī hai hukūmat
lakīroñ meñ mirī jis kā nishāñ hai
chhupā saktī nahīñ us se maiñ kuchh bhī
mirā har raaz to us par ayaañ hai
firāq-o-vasl kī had se nikal kar
ajab se moḌ par ab dāstāñ hai
mileñ haiñ chand lamhe khul ke jī leñ
vagarna zindagī to rā.egāñ hai
hawaon mein dilon ka karwan hai
muqaddas ishq jab se mehrban hai
mere dil ko sukun aaya yahin par
baDa maKHsus tera aastan hai
wo mujh se dur jaega bhi kaise
jo meri ruh ke andar nihan hai
mohabbat ke safar par jao lekin
wahan har moD par ek imtihan hai
mere dil par usi ki hai hukumat
lakiron mein meri jis ka nishan hai
chhupa sakti nahin us se main kuchh bhi
mera har raaz to us par ayan hai
firaq-o-wasl ki had se nikal kar
ajab se moD par ab dastan hai
milen hain chand lamhe khul ke ji len
wagarna zindagi to raegan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.