hawas ke rang sabhi aasman wale hain
havas ke rang sabhī āsmān vaale haiñ
malāl-e-hijr ne kyā bāl-o-par nikāle haiñ
maiñ āsmān se tāroñ kī vaj.h kyā pūchhūñ
tumhārī yaad ne aañsū bahut uchhāle haiñ
lahū kī buuñd kā qissa to sirf itnā hai
ki terī yaad ne sab ashk rang Daale haiñ
tujhe bhulāne ke sab rāste sajā dūñgā
anā kī shāḳh pe phir phuul aane vaale haiñ
hawas ke rang sabhi aasman wale hain
malal-e-hijr ne kya baal-o-par nikale hain
main aasman se taron ki wajh kya puchhun
tumhaari yaad ne aansu bahut uchhaale hain
lahu ki bund ka qissa to sirf itna hai
ki teri yaad ne sab ashk rang Dale hain
tujhe bhulane ke sab raste saja dunga
ana ki shaKH pe phir phul aane wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.