hawas ki aankh mein jugnu machalne lagte hain
havas kī aañkh meñ jugnū machalne lagte haiñ
nazar jhukā ke vo jab haath malne lagte haiñ
zarā sī der meñ shakleñ badalne lagte haiñ
havā ke lams se bādal pighalne lagte haiñ
hai lāzmī koī tahrīk zindagī ke liye
paḌe paḌe miyāñ shahtīr galne lagte haiñ
purānī barf kā maiñ jab bhī zikr suntā huuñ
na jaane paañv mire kyoñ phisalne lagte haiñ
na.ī ravish ye chalī hai ki kaaT do baazū
vagarna āstīñ meñ saañp palne lagte haiñ
maiñ e'timād se chaltā huuñ āsmānoñ par
magar zamīñ pe mire paañv jalne lagte haiñ
hawas ki aankh mein jugnu machalne lagte hain
nazar jhuka ke wo jab hath malne lagte hain
zara si der mein shaklen badalne lagte hain
hawa ke lams se baadal pighalne lagte hain
hai lazmi koi tahrik zindagi ke liye
paDe paDe miyan shahtir galne lagte hain
purani barf ka main jab bhi zikr sunta hun
na jaane panw mere kyon phisalne lagte hain
nai rawish ye chali hai ki kaT do bazu
wagarna aastin mein sanp palne lagte hain
main e'timad se chalta hun aasmanon par
magar zamin pe mere panw jalne lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.