hawas ki aankh sin wo chehra-e-raushan na dekhoge
hawas ki aankh sin wo chehra-e-raushan na dekhoge
Siraj Aurangabadi
MORE BYSiraj Aurangabadi
havas kī aañkh siiñ vo chehra-e-raushan na dekhoge
to chehra to kahāñ pan-gosha-e-dāman na dekhoge
chhupāte ho so bejā us jamāl-e-hairat-afzā kuuñ
mirī āñkhoñ siiñ dekhoge to phir darpan na dekhoge
agar us ḳhush-dahan ke lab pe dekho rañg missī kā
to phir zinhār barg-e-ġhuncha-e-sosan na dekhoge
agar dekhoge aks us ḳhat kā merī chashm-e-giryāñ meñ
lab-e-jū par bahār-e-sabza-e-gulshan na dekhoge
'sirāj' apne siiñ kyuuñ visvās hai ai sham.a-rū tum kuuñ
kisī āshiq kuuñ tum māshūq kā dushman na dekhoge
hawas ki aankh sin wo chehra-e-raushan na dekhoge
to chehra to kahan pan-gosha-e-daman na dekhoge
chhupate ho so beja us jamal-e-hairat-afza kun
meri aankhon sin dekhoge to phir darpan na dekhoge
agar us KHush-dahan ke lab pe dekho rang missi ka
to phir zinhaar barg-e-ghuncha-e-sosan na dekhoge
agar dekhoge aks us KHat ka meri chashm-e-giryan mein
lab-e-ju par bahaar-e-sabza-e-gulshan na dekhoge
'siraj' apne sin kyun wiswas hai ai shama-ru tum kun
kisi aashiq kun tum mashuq ka dushman na dekhoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.