hawas ki hukm-rani ho rahi hai
havas kī hukm-rānī ho rahī hai
mohabbat paanī paanī ho rahī hai
basar yuuñ zindagānī ho rahī hai
ki jaise lan-tarānī ho rahī hai
suḳhanvar ho zabāñ apnī sañbhālo
suḳhan meñ bad-zabānī ho rahī hai
parāyā hai vo ab merā nahīñ hai
kisī ko ḳhush-gumānī ho rahī hai
bulā kar mujh ko mahfil se nikālā
ye kaisī mezbānī ho rahī hai
basā rakkhī hai dil meñ ek duniyā
pashemāñ zindagānī ho rahī hai
ye kis kā zikr aayā hai ġhazal meñ
ye kaisī gul-fishānī ho rahī hai
hisāb-e-zindagī denā paḌegā
raqam har ik kahānī ho rahī hai
jafā us kī corona kī tarah se
balā-e-nā-gahānī ho rahī hai
kahāñ aatī hai mujh ko she'r-goī
ḳhudā kī mehrbānī ho rahī hai
kisī tūfān kā hai pesh-ḳhema
ḳhamoshī zū-ma.ānī ho rahī hai
koī rangīn lamha zehn meñ hai
jo sūrat zāfrānī ho rahī hai
karishma hai ye sab us kī nazar kā
javānī jāvedānī ho rahī hai
mubarrā is se ab koī nahīñ hai
anā bhī ḳhāndānī ho rahī hai
hawas ki hukm-rani ho rahi hai
mohabbat pani pani ho rahi hai
basar yun zindagani ho rahi hai
ki jaise lan-tarani ho rahi hai
suKHanwar ho zaban apni sanbhaalo
suKHan mein bad-zabani ho rahi hai
paraya hai wo ab mera nahin hai
kisi ko KHush-gumani ho rahi hai
bula kar mujh ko mahfil se nikala
ye kaisi mezbani ho rahi hai
basa rakkhi hai dil mein ek duniya
pasheman zindagani ho rahi hai
ye kis ka zikr aaya hai ghazal mein
ye kaisi gul-fishani ho rahi hai
hisab-e-zindagi dena paDega
raqam har ek kahani ho rahi hai
jafa us ki corona ki tarah se
bala-e-na-gahani ho rahi hai
kahan aati hai mujh ko she'r-goi
KHuda ki mehrbani ho rahi hai
kisi tufan ka hai pesh-KHema
KHamoshi zu-maani ho rahi hai
koi rangin lamha zehn mein hai
jo surat zafrani ho rahi hai
karishma hai ye sab us ki nazar ka
jawani jawedani ho rahi hai
mubarra is se ab koi nahin hai
ana bhi KHandani ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.