hawas ne mujhse puchha tha tumhaara kya irada hai
havas ne mujh se pūchhā thā tumhārā kyā irāda hai
badan kār-e-mohabbat meñ barā.e istifāda hai
kabhī pahnā nahīñ us ne mire ashkoñ kā pairāhan
udāsī merī āñkhoñ meñ azal se be-libāda hai
bhaḌak kar sho.ala-e-vahshat lahū meñ bujh gayā hogā
zarā sī aag thī lekin dhuāñ kitnā ziyāda hai
agar tum ġhaur se dekho ruḳh-e-mahtāb kam paḌ jaa.e
falak par ik sitāre kī jabīñ itnī kushāda hai
mujhe maskan samajhte haiñ ajab aaseb haiñ ġham ke
maiñ ik do se nimaT bhī luuñ ye puurā ḳhānvāda hai
use dhande se matlab hai vo dīmak bechne vaalā
use vo ḳhaak samjhegā ye ḳhvāboñ kā burāda hai
ham us se chaah kar bhī bach nahīñ sakte kisī sūrat
nibhānā paḌtā hai is ko mohabbat ek va.ada hai
mujhe shatranj ke ḳhānoñ meñ chalnā tū sikhā.egā
maiñ farzī ban chukā kab kā tū ab tak ik piyāda hai
na-jāne kātib-e-taqdīr ne kyā likh diyā us par
mirī taqdīr kā saf.ha na sīdhā hai na saada hai
maiñ is hālat meñ 'zeb' āḳhir kahāñ chalte hue jā.ūñ
na mujh meñ hausla baaqī na manzil hai na jaada hai
hawas ne mujh se puchha tha tumhaara kya irada hai
badan kar-e-mohabbat mein barae istifada hai
kabhi pahna nahin us ne mere ashkon ka pairahan
udasi meri aankhon mein azal se be-libaada hai
bhaDak kar shoala-e-wahshat lahu mein bujh gaya hoga
zara si aag thi lekin dhuan kitna ziyaada hai
agar tum ghaur se dekho ruKH-e-mahtab kam paD jae
falak par ek sitare ki jabin itni kushada hai
mujhe maskan samajhte hain ajab aaseb hain gham ke
main ek do se nimaT bhi lun ye pura KHanwada hai
use dhande se matlab hai wo dimak bechne wala
use wo KHak samjhega ye KHwabon ka burada hai
hum us se chah kar bhi bach nahin sakte kisi surat
nibhana paDta hai is ko mohabbat ek wada hai
mujhe shatranj ke KHanon mein chalna tu sikhaega
main farzi ban chuka kab ka tu ab tak ek piyaada hai
na-jaane katib-e-taqdir ne kya likh diya us par
meri taqdir ka safha na sidha hai na sada hai
main is haalat mein 'zeb' aaKHir kahan chalte hue jaun
na mujh mein hausla baqi na manzil hai na jada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.