hayat-o-maut ki uljhan mein Dalta kyon hai
hayāt-o-maut kī uljhan meñ Dāltā kyoñ hai
ye tohmateñ mire uupar uchhāltā kyoñ hai
ab aa gayā huuñ to ḳhatre meñ Dāltā kyoñ hai
añdherī raat meñ ghar se nikāltā kyoñ hai
abhī mo.āmla-e-kā.enāt tai kar de
zarā sī baat qayāmat pe Tāltā kyoñ hai
kisī tarah bhī to insāñ tirā harīf nahīñ
phir is ġharīb ko tū maar Dāltā kyoñ hai
nadīm terā to is meñ koī mafād nahīñ
maiñ gir rahā huuñ tū mujh ko sañbhāltā kyoñ hai
mujhe bachā na sakegā tū ġharq hone se
fuzūl ḳhud ko halākat meñ Dāltā kyoñ hai
kisī tarah to ye ehsās kā azaab miTe
tū mere siine se ḳhanjar nikāltā kyoñ hai
tū apnī fikr ko kuchh bhī samajh magar 'tāhir'
kisī ke sher meñ kiiḌe nikāltā kyoñ hai
hayat-o-maut ki uljhan mein Dalta kyon hai
ye tohmaten mere upar uchhaalta kyon hai
ab aa gaya hun to KHatre mein Dalta kyon hai
andheri raat mein ghar se nikalta kyon hai
abhi moamla-e-kaenat tai kar de
zara si baat qayamat pe Talta kyon hai
kisi tarah bhi to insan tera harif nahin
phir is gharib ko tu mar Dalta kyon hai
nadim tera to is mein koi mafad nahin
main gir raha hun tu mujh ko sanbhaalta kyon hai
mujhe bacha na sakega tu gharq hone se
fuzul KHud ko halakat mein Dalta kyon hai
kisi tarah to ye ehsas ka azab miTe
tu mere sine se KHanjar nikalta kyon hai
tu apni fikr ko kuchh bhi samajh magar 'tahir'
kisi ke sher mein kiDe nikalta kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.